allah ki shan, allah ki qudrat allah ki shan
Allah
Bohat Kuch Kaha Hai Karo ‘Mir’ BasK Allah Bas Aur Baaqi Hawas
بہت کچھ کہا ہے کرو میرؔ بس
کہ اللہ بس اور باقی ہوس
बहुत कुछ कहा है करो ‘मीर’ बस
कि अल्लाह बस और बाक़ी हवस
Allah Re Zauq-e-Dasht-Navardi Ki Baad-e-Marg
Hilte Haiñ Khud-ba-Khud Mere Andar kafan Ke Paaun
اللہ رے ذوق دشت نوردی کہ بعد مرگ
ہلتے ہیں خود بہ خود مرے اندر کفن کے پاؤں
अल्लाह रे ज़ौक़-ए-दश्त-नवर्दी कि बाद-ए-मर्ग
हिलते हैं ख़ुद-ब-ख़ुद मिरे अंदर कफ़न के पाँव
Aain Jawa’n Mardaa’n Haq Goyi o Bebaaki
جب عشق سکھاتا ہے آداب خود آگاہی
کھلتے ہیں غلاموں پر اسرار شہنشاہی
عطارؔ ہو رومیؔ ہو رازیؔ ہو غزالیؔ ہو
کچھ ہاتھ نہیں آتا بے آہ سحرگاہی
نومید نہ ہو ان سے اے رہبر فرزانہ
کم کوش تو ہیں لیکن بے ذوق نہیں راہی
اے طائر لاہوتی اس رزق سے موت اچھی
جس رزق سے آتی ہو پرواز میں کوتاہی
دارا و سکندر سے وہ مرد فقیر اولیٰ
ہو جس کی فقیری میں بوئے اسد اللہٰی
آئین جواں مرداں حق گوئی و بیباکی
اللہ کے شیروں کو آتی نہیں روباہی
Jab Ishq Seekhata hai Aadab-e-KHud-agahi
Khulte hain ghulamon per asrar-e-shahanshahi
‘Attar’ ho ‘Rumi’ ho ‘Raazi’ ho ‘Ghazali’ ho
Kuch hath nahi aata be-ah-e-sahar-gahi
Naumid na ho in se ae rahbar-e-farzana
Kam-kosh toh hain lekin be-zauq nahi rahi
Ae tair-e-lahuti us rizq se maut achi
Jis rizq se aati ho parwaz mein kotahi
Dara o sikandar se wo mard-e-faqir aula
Ho jis ki faqiri mein bu-e-asadul-lahai
Aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
Allah ke sheron ko aati nahin rubahi
जब इश्क़ सिखाता है आदाब-ए-ख़ुद-आगाही
खुलते हैं ग़ुलामों पर असरार-ए-शहंशाही
‘अत्तार’ हो ‘रूमी’ हो ‘राज़ी’ हो ‘ग़ज़ाली’ हो
कुछ हाथ नहीं आता बे-आह-ए-सहर-गाही
नौमीद न हो इन से ऐ रहबर-ए-फ़रज़ाना
कम-कोश तो हैं लेकिन बे-ज़ौक़ नहीं राही
ऐ ताइर-ए-लाहूती उस रिज़्क़ से मौत अच्छी
जिस रिज़्क़ से आती हो पर्वाज़ में कोताही
दारा ओ सिकंदर से वो मर्द-ए-फ़क़ीर औला
हो जिस की फ़क़ीरी में बू-ए-असदूल-लाही
आईन-ए-जवाँ-मर्दां हक़-गोई ओ बे-बाकी
अल्लाह के शेरों को आती नहीं रूबाही
Jinki Umeed Allah Se Ho, Woh Kabhi
Jinki Umeed Allah Se Ho,
Woh Kabhi Na Umeed Nahi Hote
جن کی اُمید صرف الله سے ہو
وہ کبھی نا اُمید نہیں ہوتے
Hamara Har Kaam Asaan Hoga, Jis Din
Hamara Har Kaam Asaan Hoga,
Jis Din Ka Pehla Kaam Namaz Hoga
ہمارا ہر کام آسان ہوگا
جس دن کا پہلا کام نماز ہوگا
Tum Yahan Meri Ibadat Kia Karo, Main
Tum Yahan Meri Ibadat Kia Karo,
Main Qabar Mein Tumhari Hifazat Kia Karunga
تم یہاں میری تِلاوت کیا کرو
میں قبر میں تمہاری حفاظت کیا کرونگا
Jisne Sukh Mein Apne Rab Ka Shukar Adaa
Jisne Sukh Mein Apne Rab Ka Shukar Adaa Kia,
Ussne Dukh Mein Apne Rab Ko Apne Kareeb Paaya
جسنے سُکھ میں اپنے رب کا شُکر ادا کیا
اُسنے دُکھ میں اپنے رب کو اپنے قریب پایا
Nahi Mayoos Apne Allah Se, Badal Jaati
Allah-shayari-2
Nahi Mayoos Apne Allah Se,
Badal Jaati Hai Kismat Dua Se
نہیں مایوس اپنے الله سے
بدل جاتی ہے قسمت دُعا سے
Kitna Sukoon Deta Hai Uss Jagah Beth
Allah-shayari-1
Kitna Sukoon Deta Hai Uss Jagah Beth Ke Rona
Jahan Allah Ke Siwa Koi Sun’ne Wala Na Ho
کتنا سکون دیتا ہے اُس جگہ بیٹھ کے رونا
جہاں الله کے سوا کوئی سُننے والا نہ ہو
Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai
inspirational poetry
Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai,
Phir Andheron Mein Kar Gila Rab Kyun Ujala Nahi Hai
کر نفسی خواہیشات پوری ابھی من کالا نہیں ہے
پھر اندھیروں میں کر گلہ رب کیوں اُجالا نہیں ہے
عظیم حیدر
Khawabon Ka Musafir Namazi Na Kafir
Khawabon Ka Musafir Namazi Na Kafir,
Saaiyan Yeh Bata De Kahan Hun Main Aakhir
Roz e Mehshar Hisaab Kya Le Ga, Jo Mujhe
Roz e Mehshar Hisaab Kya Le Ga,
Jo Mujhe Be Hisaab Deta Hai
روزِ محشر حساب کیا لے گا
جو مجھے بے حساب دیتا ہے
احسان شاہد
Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida, Kahin Ishq Ki Dekhi
Kahin ISHQ Ki Dekhi Ibtida,
Kahin ISHQ Ki Dekhi Inteha,
Kahin ISHQ Sooli Pe Charh Gaya,
Kahin ISHQ Ka Nezy Pe Ser Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Mein Gir Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Se Phirr Gaya,
Kahin ISHQ Dars e Wafa Bana,
Khain ISHQ Husn e Ada Bana,
Kahin ISHQ Ne Sanp Se Daswa Dia,
Kahin ISHQ Ne Namaz Ko Qaza Kia,
Kahin ISHQ Saife Khuda Bana,
Kahin ISHQ Shere Khuda Bana,
Kahin ISHQ Toor Per Deedar hai,
Kahin ISHQ Zibah Ko Tayar hai,
Kahin ISHQ Ne Behka Dia,
Kahin ISHQ Ne Shah e Misr Bana Dia,
Kahin ISHQ Aankhon Ka Noor Hai,
Kahin ISHQ Koh e Toor Hai,
Kahin ISHQ ‘Tu Hee Tu’ Hua,
Kahin ISHQ ‘ALLAH HOO’ Hua.
100 Dum Gafil, 100 Dum Kafir By Basheer Shah
islamic poetry
100 Dum Gafil,
100 Dum Kafir
سو دم غافل
سو دم کافر
Translation: Abandoning remembrance of Allah is sinning.
Image Artist: Ali Abbas Syed
Na Tujhse Na Tere Baap Se Main Darti Hun
attitude shayari
Na Tujhse Na Tere Baap Se
Main Darti Hun Hun Toh Sirf Allah Paak Se
Chalo Uss Ka Nahi Allah Ka Ehsaan Lete Hain
ishq poetry
Chalo Uss Ka Nahi Allah Ka Ehsaan Lete Hain,
Woh Minat Se Nahi Maana Toh Mante Maan Lete Hain
Labels:
allama iqbal
No comments: