Entertainment

[Entertainment][bleft]

Birthday Wishes

[Birthday%20Wishes][bsummary]

Alone Status

[Alone%20Status][grids]

Women Quotes

[WomenQuotes][twocolumns]

love shayari in urdu for boyfriend

Love shayari in urdu for boyfriend, urdu love shayari in hindi, love poetry in urdu romantic, urdu love poetry for her, most romantic love poetry in urdu, romantic urdu shayari for husband, romantic poetry in urdu for lovers, urdu shayari love images, love poetry in urdu for husband


aadmī jaan ke khātā hai mohabbat meñ fareb 

ḳhud-farebī hī mohabbat kā sila ho jaise 

IQBAL AZEEM

aaj dekhā hai tujh ko der ke ba.ad 



aaj kā din guzar na jaa.e kahīñ 

NASIR KAZMI


āḳhrī hichkī tire zānūñ pe aa.e 

maut bhī maiñ shā.irāna chāhtā huuñ 

QATEEL SHIFAI

aap daulat ke tarāzū meñ diloñ ko tauleñ 

ham mohabbat se mohabbat kā sila dete haiñ 

SAHIR LUDHIANVI

aarzū hai ki tū yahāñ aa.e 

aur phir umr bhar na jaa.e kahīñ 

NASIR KAZMI

āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb 

dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak 

MIRZA GHALIB

aate aate mirā naam sā rah gayā 

us ke hoñToñ pe kuchh kāñptā rah gayā 

WASEEM BARELVI

ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ 

jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ 

AHMAD FARAZ

ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ umīdeñ 

ye āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa 

AHMAD FARAZ

ab to miliye bas laḌā.ī ho chukī 

ab to chaliye pyaar kī bāteñ kareñ 

AKHTAR SHIRANI

 achchhā ḳhāsā baiThe baiThe gum ho jaatā huuñ 

ab maiñ aksar maiñ nahīñ rahtā tum ho jaatā huuñ 

ANWAR SHUOOR

ahl-e-havas to ḳhair havas meñ hue zalīl 

vo bhī hue ḳharāb, mohabbat jinhoñ ne kī 

AHMAD MUSHTAQ


ai dil tamām naf.a hai saudā-e-ishq meñ 

ik jaan kā ziyāñ hai so aisā ziyāñ nahīñ 


MUFTI SADRUDDIN AAZURDA

 ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd 

mahsūs kī hai terī zarūrat kabhī kabhī 

NASIR KAZMI


apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe 

mire andar se sabhī rañg tumhāre nikle 

SALIM SALEEM


aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā 

rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā 

FAIZ AHMAD FAIZ


bas ek hī balā hai mohabbat kaheñ jise 

vo pāniyoñ meñ aag lagātī hai aaj bhī 

AJEET SINGH HASRAT


bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham 

qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā ham se pūchhiye 

KHUMAR BARABANKAVI


bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul 

kahte haiñ jis ko ishq ḳhalal hai dimāġh kā 

MIRZA GHALIB


chalo achchhā huā kaam aa ga.ī dīvāngī apnī 

vagarna ham zamāne bhar ko samjhāne kahāñ jaate 

QATEEL SHIFAI

chand kaliyāñ nashāt kī chun kar muddatoñ mahv-e-yās rahtā huuñ 

terā milnā ḳhushī kī baat sahī tujh se mil kar udaas rahtā huuñ 

SAHIR LUDHIANVI

chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai 

ham ko ab tak āshiqī kā vo zamānā yaad hai 

HASRAT MOHANI

dil dhaḌakne kā sabab yaad aayā 

vo tirī yaad thī ab yaad aayā 

NASIR KAZMI

dil kī choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā 

jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā 

JOSH MALIHABADI

dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ 

kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ 

JIGAR MORADABADI

dil mujhe us galī meñ le jā kar 

aur bhī ḳhaak meñ milā laayā 

MEER TAQI MEER

 dil pe aa.e hue ilzām se pahchānte haiñ 

log ab mujh ko tire naam se pahchānte haiñ 

QATEEL SHIFAI

dil thaam ke karvaT pe liye jā.ūñ huuñ karvaT 

vo aag lagī hai ki bujhā.e na bane hai 

KALEEM AAJIZ

duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaad 

ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad 

JIGAR MORADABADI

ek chehra hai jo āñkhoñ meñ basā rahtā hai 

ik tasavvur hai jo tanhā nahīñ hone detā 


JAVED NASEEMI

ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā hai 

simTe to dil-e-āshiq phaile to zamāna hai 

JIGAR MORADABADI

ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ 

aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ 

FIRAQ GORAKHPURI

ik raat vo gayā thā jahāñ baat rok ke 

ab tak rukā huā huuñ vahīñ raat rok ke 

FARHAT EHSAS

ik roz khel khel meñ ham us ke ho ga.e 

aur phir tamām umr kisī ke nahīñ hue 

VIPUL KUMAR

fāsle aise bhī hoñge ye kabhī sochā na thā 

sāmne baiThā thā mere aur vo merā na thā 

ADEEM HASHMI

garmī-e-hasrat-e-nākām se jal jaate haiñ 

ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ 

QATEEL SHIFAI

ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ 

maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā 

SAHIR LUDHIANVI

hañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merī 

kyuuñ tum āsān samajhte the mohabbat merī 

AMEER MINAI

har mulāqāt pe siine se lagāne vaale 

kitne pyāre haiñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale 

VIPUL KUMAR

 hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai 

ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai 

NIDA FAZLI

ham ko kis ke ġham ne maarā ye kahānī phir sahī 

kis ne toḌā dil hamārā ye kahānī phir sahī 

MASROOR ANWAR

ibtidā vo thī ki jiine ke liye martā thā maiñ 

intihā ye hai ki marne kī bhī hasrat na rahī 

MAHIRUL QADRI

ilaaj apnā karāte phir rahe ho jaane kis kis se 

mohabbat kar ke dekho nā mohabbat kyuuñ nahīñ karte 

FARHAT EHSAS

is ta.alluq meñ nahīñ mumkin talāq 

ye mohabbat hai koī shādī nahīñ 

ANWAR SHUOOR

ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī 

merī vahshat tirī shohrat hī sahī 

MIRZA GHALIB

ishq nāzuk-mizāj hai behad 

aql kā bojh uThā nahīñ saktā 

AKBAR ALLAHABADI

ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā 

varna ham bhī aadmī the kaam ke 

MIRZA GHALIB

ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib' 

ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane 

MIRZA GHALIB

ishq se tabī.at ne ziist kā mazā paayā 

dard kī davā paa.ī dard-e-be-davā paayā 

MIRZA GHALIB

ishq sunte the jise ham vo yahī hai shāyad 

ḳhud-baḳhud dil meñ hai ik shaḳhs samāyā jaatā 

ALTAF HUSSAIN HALI

jab bhī aatā hai mirā naam tire naam ke saath 

jaane kyuuñ log mire naam se jal jaate haiñ 

QATEEL SHIFAI

jab tum se mohabbat kī ham ne tab jā ke kahīñ ye raaz khulā 

marne kā salīqa aate hī jiine kā shu.ūr aa jaatā hai 

SAHIR LUDHIANVI

jab unheñ dekho pyaar aatā hai 

aur be-iḳhtiyār aatā hai 

JALEEL MANIKPURI

jhukī jhukī sī nazar be-qarār hai ki nahīñ 

dabā dabā sā sahī dil meñ pyaar hai ki nahīñ 

KAIFI AZMI

karūñgā kyā jo mohabbat meñ ho gayā nākām 

mujhe to aur koī kaam bhī nahīñ aatā 

GHULAM MOHAMMAD QASIR

ḳhud-kushī jurm bhī hai sabr kī tauhīn bhī hai 

is liye ishq meñ mar mar ke jiyā jaatā hai 

IBRAT SIDDIQUI

kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham 

tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa 

AHMAD FARAZ

kisī sabab se agar boltā nahīñ huuñ maiñ 

to yuuñ nahīñ ki tujhe sochtā nahīñ huuñ maiñ 

IFTIKHAR MUGHAL

koī ai 'shakīl' pūchhe ye junūñ nahīñ to kyā hai 

ki usī ke ho ga.e ham jo na ho sakā hamārā 


SHAKEEL BADAYUNI

koī samjhe to ek baat kahūñ 

ishq taufīq hai gunāh nahīñ 

FIRAQ GORAKHPURI

log kahte haiñ ki tū ab bhī ḳhafā hai mujh se 

terī āñkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se 

JAAN NISAR AKHTAR

maiñ ghaTtā jā rahā huuñ apne andar 

tumheñ itnā ziyāda kar liyā hai 

SALIM SALEEM

maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur kā mujhe sochtā koī aur hai 

sar-e-ā.īna mirā aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai 

SALEEM KAUSAR

maañg luuñ tujh se tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e 

sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai 

AMEER MINAI

mazā jab thā ki mere muñh se sunte dāstāñ merī 

kahāñ se lā.egā qāsid dahan merā zabāñ merī 

UNKNOWN

mere ghar ke tamām darvāze 

tum se karte haiñ pyaar aa jaao 

ANWAR SHUOOR

mere ham-nafas mere ham-navā mujhe dost ban ke daġhā na de 

maiñ huuñ dard-e-ishq se jāñ-ba-lab mujhe zindagī kī duā na de 

SHAKEEL BADAYUNI

mire pahlū meñ vo aaya bhī to ḳhushbū kī tarah 

maiñ use jitnā sameTūñ vo bikhartā jaa.e 

UNKNOWN

mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñ 

tamām umr maiñ nākāmiyoñ se kaam liyā 

MEER TAQI MEER

mire saare badan par dūriyoñ kī ḳhaak bikhrī hai 

tumhāre saath mil kar ḳhud ko dhonā chāhtā huuñ maiñ 

FARHAT EHSAS

mohabbat ek ḳhushbū hai hamesha saath chaltī hai 

koī insān tanhā.ī meñ bhī tanhā nahīñ rahtā 

BASHIR BADR

mohabbat kā un ko yaqīñ aa chalā hai 

haqīqat bane jā rahe haiñ fasāne 

MAHESH CHANDRA NAQSH

mohabbat ko chhupā.e laakh koī chhup nahīñ saktī 

ye vo afsāna hai jo be-kahe mash.hūr hotā hai 

LALA MADHAV RAM JAUHAR

mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā 

usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle 

MIRZA GHALIB

muddat meñ shām-e-vasl huī hai mujhe nasīb 

do-chār saal tak to ilāhī sahar na ho 

AMEER MINAI

na jaane kaun sī manzil pe aa pahuñchā hai pyaar apnā 

na ham ko e'tibār apnā na un ko e'tibār apnā 

QATEEL SHIFAI

pūchh lete vo bas mizāj mirā 

kitnā āsān thā ilaaj mirā 

FAHMI BADAYUNI

'qatīl' ab dil kī dhaḌkan ban ga.ī hai chaap qadmoñ kī 

koī merī taraf aatā huā mahsūs hotā hai 

QATEEL SHIFAI

ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa 

aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa 

AHMAD FARAZ

shaam hote hī charāġhoñ ko bujhā detā huuñ 

dil hī kaafī hai tirī yaad meñ jalne ke liye 

UNKNOWN

siine meñ rāz-e-ishq chhupāyā na jā.egā 

ye aag vo hai jis ko dabāyā na jā.egā 

HAMEED JALANDHARI

sirf us ke hoñT kāġhaz par banā detā huuñ maiñ 

ḳhud banā letī hai hoñToñ par hañsī apnī jagah 

ANWAR SHUOOR

terā milnā ḳhushī kī baat sahī 

tujh se mil kar udaas rahtā huuñ 

SAHIR LUDHIANVI

tire ishq kī intihā chāhtā huuñ 

mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ 


ALLAMA IQBAL

tujh se bichhḌūñ to tirī zaat kā hissa ho jā.ūñ 

jis se martā huuñ usī zahr se achchhā ho jā.ūñ 

AHMAD KAMAL PARWAZI

tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage 

maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage 

QAISARUL JAFRI

tumhārī yaad ke jab zaḳhm bharne lagte haiñ 

kisī bahāne tumheñ yaad karne lagte haiñ 

FAIZ AHMAD FAIZ

tum ko aatā hai pyaar par ġhussa 

mujh ko ġhusse pe pyaar aatā hai 

AMEER MINAI

ujāle apnī yādoñ ke hamāre saath rahne do 

na jaane kis galī meñ zindagī kī shaam ho jaa.e 

BASHIR BADR

us kī yaad aa.ī hai sāñso zarā āhista chalo 

dhaḌkanoñ se bhī ibādat meñ ḳhalal paḌtā hai 

RAHAT INDORI

vafā tujh se ai bevafā chāhtā huuñ 

mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ 

HASRAT MOHANI

vafā tum se kareñge dukh saheñge naaz uThā.eñge 

jise aatā hai dil denā use har kaam aatā hai 

ARZOO LAKHNAVI

vo ittifāq se nazdīk aa.e haiñ lekin 

ye ittifāq huā hai baḌī duāoñ ke ba.ad 

UNKNOWN

vo to ḳhush-bū hai havāoñ meñ bikhar jā.egā 

mas.ala phuul kā hai phuul kidhar jā.egā 

PARVEEN SHAKIR

yaad rakhnā hī mohabbat meñ nahīñ hai sab kuchh 

bhuul jaanā bhī baḌī baat huā kartī hai 

JAMAL EHSANI

ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liije 

ik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai 

JIGAR MORADABADI

ye maza thā dil-lagī kā ki barābar aag lagtī 

na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā 

DAGH DEHLVI

zālim thā vo aur zulm kī aadat bhī bahut thī 

majbūr the ham us se mohabbat bhī bahut thī 

KALEEM AAJIZ

zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale 

maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ 

QAISARUL JAFRI

zindagī yūñhī bahut kam hai mohabbat ke liye 

ruuTh kar vaqt gañvāne kī zarūrat kyā hai 

UNKNOWN

No comments: